mujhe to qatra hi hona bahut sataata hai | मुझे तो क़तरा ही होना बहुत सताता है - Waseem Barelvi

mujhe to qatra hi hona bahut sataata hai
isee liye to samundar pe rehm aata hai

vo is tarah bhi meri ahmiyat ghataata hai
ki mujh se milne mein shartein bahut lagata hai

bichhadte waqt kisi aankh mein jo aata hai
tamaam umr vo aansu bahut rulaata hai

kahaan pahunch gai duniya use pata hi nahin
jo ab bhi maazi ke qisse sunaaye jaata hai

uthaaye jaayen jahaan haath aise jalse mein
wahi bura jo koi mas'ala uthaata hai

na koi ohda na degree na naam ki takhti
main rah raha hoon yahan mera ghar bataata hai

samajh raha ho kahi khud ko meri kamzori
to us se kah do mujhe bhoolna bhi aata hai

मुझे तो क़तरा ही होना बहुत सताता है
इसी लिए तो समुंदर पे रहम आता है

वो इस तरह भी मिरी अहमियत घटाता है
कि मुझ से मिलने में शर्तें बहुत लगाता है

बिछड़ते वक़्त किसी आँख में जो आता है
तमाम उम्र वो आँसू बहुत रुलाता है

कहाँ पहुँच गई दुनिया उसे पता ही नहीं
जो अब भी माज़ी के क़िस्से सुनाए जाता है

उठाए जाएँ जहाँ हाथ ऐसे जलसे में
वही बुरा जो कोई मसअला उठाता है

न कोई ओहदा न डिग्री न नाम की तख़्ती
मैं रह रहा हूँ यहाँ मेरा घर बताता है

समझ रहा हो कहीं ख़ुद को मेरी कमज़ोरी
तो उस से कह दो मुझे भूलना भी आता है

- Waseem Barelvi
3 Likes

Waqt Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Waseem Barelvi

As you were reading Shayari by Waseem Barelvi

Similar Writers

our suggestion based on Waseem Barelvi

Similar Moods

As you were reading Waqt Shayari Shayari