tahreer se warna meri kya ho nahin saka
ik tu hai jo lafzon mein ada ho nahin saka
aankhon mein khayaalaat mein saanson mein basa hai
chahe bhi to mujh se vo juda ho nahin saka
jeena hai to ye jabr bhi sahna hi padega
qatra hoon samundar se khafa ho nahin saka
gumraah kiye honge kai phool se jazbe
aise to koi raah-numa ho nahin saka
qad mera badhaane ka use kaam mila hai
jo apne hi pairo'n pe khada ho nahin saka
ai pyaar tire hisse mein aaya tiri qismat
vo dard jo chehron se ada ho nahin saka
तहरीर से वर्ना मिरी क्या हो नहीं सकता
इक तू है जो लफ़्ज़ों में अदा हो नहीं सकता
आँखों में ख़यालात में साँसों में बसा है
चाहे भी तो मुझ से वो जुदा हो नहीं सकता
जीना है तो ये जब्र भी सहना ही पड़ेगा
क़तरा हूँ समुंदर से ख़फ़ा हो नहीं सकता
गुमराह किए होंगे कई फूल से जज़्बे
ऐसे तो कोई राह-नुमा हो नहीं सकता
क़द मेरा बढ़ाने का उसे काम मिला है
जो अपने ही पैरों पे खड़ा हो नहीं सकता
ऐ प्यार तिरे हिस्से में आया तिरी क़िस्मत
वो दर्द जो चेहरों से अदा हो नहीं सकता
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Waseem Barelvi
our suggestion based on Waseem Barelvi
As you were reading Nazakat Shayari Shayari