use samajhne ka koi to raasta nikle | उसे समझने का कोई तो रास्ता निकले

  - Waseem Barelvi

use samajhne ka koi to raasta nikle
main chahta bhi yahi tha vo bewafa nikle

kitaab-e-maazi ke aoraq ult ke dekh zara
na jaane kaun sa safha muda hua nikle

main tujh se milta to tafseel mein nahin jaata
meri taraf se tire dil mein jaane kya nikle

jo dekhne mein bahut hi qareeb lagta hai
usi ke baare mein socho to fasla nikle

tamaam shehar ki aankhon mein surkh sholay hain
waseem ghar se ab aise mein koi kya nikle

उसे समझने का कोई तो रास्ता निकले
मैं चाहता भी यही था वो बेवफ़ा निकले

किताब-ए-माज़ी के औराक़ उलट के देख ज़रा
न जाने कौन सा सफ़हा मुड़ा हुआ निकले

मैं तुझ से मिलता तो तफ़्सील में नहीं जाता
मिरी तरफ़ से तिरे दिल में जाने क्या निकले

जो देखने में बहुत ही क़रीब लगता है
उसी के बारे में सोचो तो फ़ासला निकले

तमाम शहर की आँखों में सुर्ख़ शो'ले हैं
'वसीम' घर से अब ऐसे में कोई क्या निकले

  - Waseem Barelvi

Dil Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Waseem Barelvi

As you were reading Shayari by Waseem Barelvi

Similar Writers

our suggestion based on Waseem Barelvi

Similar Moods

As you were reading Dil Shayari Shayari