aap mein kyunkar rahe koi ye saamaan dekh kar
sham-e-ismat ko bhari mehfil mein uryaan dekh kar
dil ko bahaalate ho kya kya aarzoo-e-khaam se
amr-e-naamumkin mein goya rang-e-imkaan dekh kar
kya ajab hai bhool jaayen ahl-e-dil apna bhi dard
husn-e-mastaana ko aakhir mein pasheemaan dekh kar
dhoondte firte ho ab toote hue dil mein panaah
dard se khaali dil-e-gabr-o-muslamaan dekh kar
dil jala kar vaadi-e-ghurbat ko raushan kar chale
khoob soojhi jalwa-e-shaam-e-ghareebaan dekh kar
imtiyaaz-e-soorat-o-ma'ni. se begaana hua
aaine ko aaina hairaan ko hairaan dekh kar
pairhan mein kya samaa saka habaab-e-jaan-b-lab
hasti-e-mauhoom ka khwaab-e-pareshaan dekh kar
sabr karna sakht mushkil hai tadapna sahal hai
apne bas ka kaam kar leta hoon aasaan dekh kar
aur kya hoti yagaana dard-e-isiyaan ki dava
kya ghazal yaad aayi wallaah fard-e-isyaan dekh kar
आप में क्यूँकर रहे कोई ये सामाँ देख कर
शम-ए-इस्मत को भरी महफ़िल में उर्यां देख कर
दिल को बहलाते हो क्या क्या आरज़ू-ए-ख़ाम से
अम्र-ए-नामुमकिन में गोया रंग-ए-इम्काँ देख कर
क्या अजब है भूल जाएँ अहल-ए-दिल अपना भी दर्द
हुस्न-ए-मस्ताना को आख़िर में पशीमाँ देख कर
ढूँडते फिरते हो अब टूटे हुए दिल में पनाह
दर्द से ख़ाली दिल-ए-गब्र-ओ-मुसलमाँ देख कर
दिल जला कर वादी-ए-ग़ुर्बत को रौशन कर चले
ख़ूब सूझी जल्वा-ए-शाम-ए-ग़रीबाँ देख कर
इम्तियाज़-ए-सूरत-ओ-मअ'नी से बेगाना हुआ
आइने को आइना हैराँ को हैराँ देख कर
पैरहन में क्या समा सकता हबाब-ए-जाँ-ब-लब
हस्ती-ए-मौहूम का ख़्वाब-ए-परेशाँ देख कर
सब्र करना सख़्त मुश्किल है तड़पना सहल है
अपने बस का काम कर लेता हूँ आसाँ देख कर
और क्या होती 'यगाना' दर्द-ए-इसयाँ की दवा
क्या ग़ज़ल याद आई वल्लाह फ़र्द-ए-इसयाँ देख कर
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Yagana Changezi
our suggestion based on Yagana Changezi
As you were reading Ujaala Shayari Shayari