apni hasti khud ham-aaghosh-e-fana ho jaayegi
mauj-e-dariya aab-e-saahil aashna ho jaayegi
tah ka andesha rahega phir na saahil ki havas
dil se jab qat-e-umeed-e-bewafa ho jaayegi
shab ki shab bazm-e-tarab hai pardadaar-inkilaab
subh tak aaina-e-ibrat-numa ho jaayegi
jaan-e-eemaan hai abhi vo aankh sharmaai hui
kaifiyat mein doob kar kya jaane kya ho jaayegi
अपनी हस्ती ख़ुद हम-आग़ोश-ए-फ़ना हो जाएगी
मौज-ए-दरिया आब-ए-साहिल आश्ना हो जाएगी
तह का अंदेशा रहेगा फिर न साहिल की हवस
दिल से जब क़त-ए-उमीद-ए-बेवफ़ा हो जाएगी
शब की शब बज़्म-ए-तरब है पर्दादार-इन्क़िलाब
सुब्ह तक आईना-ए-इबरत-नुमा हो जाएगी
जान-ए-ईमाँ है अभी वो आँख शर्माई हुई
कैफ़ियत में डूब कर क्या जाने क्या हो जाएगी
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Yagana Changezi
our suggestion based on Yagana Changezi
As you were reading Jazbaat Shayari Shayari