deti hai vahshat-e-dil phir mujhe ta'beer-e-bahaar
jalva-gar khwaab mein rahne lagi tasveer-e-bahaar
silsila chhid gaya phir dil ki giriftaari ka
phir naseem aaj hilaane lagi zanjeer-e-bahaar
husn aur ishq ki duniya mein padegi halchal
fitna-angez-o-junoon-khez hai taaseer-e-bahaar
tang aane lage deewane garebaanon se
kuchh to ai dast junoon chahiye tadbeer-e-bahaar
daudi jaati hai ghatta soo-e-chaman baada-kasho
parda-e-ghaib se hone lagi tadbeer-e-bahaar
देती है वहशत-ए-दिल फिर मुझे ता'बीर-ए-बहार
जल्वा-गर ख़्वाब में रहने लगी तस्वीर-ए-बहार
सिलसिला छिड़ गया फिर दिल की गिरफ़्तारी का
फिर नसीम आज हिलाने लगी ज़ंजीर-ए-बहार
हुस्न और इश्क़ की दुनिया में पड़ेगी हलचल
फ़ित्ना-अंगेज़-ओ-जुनूँ-ख़ेज़ है तासीर-ए-बहार
तंग आने लगे दीवाने गरेबानों से
कुछ तो ऐ दस्त जुनूँ चाहिए तदबीर-ए-बहार
दौड़ी जाती है घटा सू-ए-चमन बादा-कशो
पर्दा-ए-ग़ैब से होने लगी तदबीर-ए-बहार
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Yagana Changezi
our suggestion based on Yagana Changezi
As you were reading Dil Shayari Shayari