bana hua tha kahi aab-daan kaaghaz par
thi itni pyaas ki rakh di zabaan kaaghaz par
kirayedaar ki aankhon mein aa gaye aansu
banaaye baithe the bacche makaan kaaghaz par
tumhaare khat mein nazar aayi itni khaamoshi
ki mujh ko rakhne pade apne kaan kaaghaz par
tamaam umr guzaari hai dhoop mein shaayad
bana raha hai koi saayebaan kaaghaz par
utha liya hai qalam ab to main ne bhi yaasir
utaar daaloonga saari thakaan kaaghaz par
बना हुआ था कहीं आब-दान काग़ज़ पर
थी इतनी प्यास कि रख दी ज़बान काग़ज़ पर
किराएदार की आँखों में आ गए आँसू
बनाए बैठे थे बच्चे मकान काग़ज़ पर
तुम्हारे ख़त में नज़र आई इतनी ख़ामोशी
कि मुझ को रखने पड़े अपने कान काग़ज़ पर
तमाम उम्र गुज़ारी है धूप में शायद
बना रहा है कोई साएबान काग़ज़ पर
उठा लिया है क़लम अब तो मैं ने भी 'यासिर'
उतार डालूँगा सारी थकान काग़ज़ पर
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Yasir Khan
our suggestion based on Yasir Khan
As you were reading Dhoop Shayari Shayari