zameen banaai gai aasmaan banaya gaya
baraaye-ishq ye saara jahaan banaya gaya
tumhaari na ko hi aakhir mein haan banaya gaya
yaqeen ke chaak pe rakh kar gumaan banaya gaya
tum us ke paas ho jis ko tumhaari chaah na thi
kahaan pe pyaas thi dariya kahaan banaya gaya
hamaare saath koi do qadam bhi chal na saka
kisi ke vaaste ik kaarwaan banaya gaya
badal ke dekh lo tum jism chahe auron se
wahin pe theek hai jis ko jahaan banaya gaya
kisi ko jab bhi zaroorat padi siyaahi ki
hamaara jism jala kar dhuaan banaya gaya
bas ek main hi tha basti mein bolne waala
to sab se pehle mujhe be-zabaan banaya gaya
ज़मीं बनाई गई आसमाँ बनाया गया
बराए-इश्क़ ये सारा जहाँ बनाया गया
तुम्हारी ना को ही आख़िर में हाँ बनाया गया
यक़ीं के चाक पे रख कर गुमाँ बनाया गया
तुम उस के पास हो जिस को तुम्हारी चाह न थी
कहाँ पे प्यास थी दरिया कहाँ बनाया गया
हमारे साथ कोई दो क़दम भी चल न सका
किसी के वास्ते इक कारवाँ बनाया गया
बदल के देख लो तुम जिस्म चाहे औरों से
वहीं पे ठीक है जिस को जहाँ बनाया गया
किसी को जब भी ज़रूरत पड़ी सियाही की
हमारा जिस्म जला कर धुआँ बनाया गया
बस एक मैं ही था बस्ती में बोलने वाला
तो सब से पहले मुझे बे-ज़बाँ बनाया गया
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Yasir Khan
our suggestion based on Yasir Khan
As you were reading Nadii Shayari Shayari