ham ko hai fakhr is par ham hain shareer bacche | हम को है फ़ख़्र इस पर हम हैं शरीर बच्चे

  - Zafar Kamali

ham ko hai fakhr is par ham hain shareer bacche
maahir hain apne fan mein ham be-nazeer bacche

pille ko ghar mein laayein baanhon mein ham jakad kar
mauqa mile to kheench billi ki dum pakad kar

dekhen agar gadhe ko daagen use salaami
apna jo bas chale to us ki karein ghulaami

bakre pe baith kar ham galiyon mein roz ghoomen
choon-choon kare jo chooza us ko zaroor choomen

bistar ki sabz chadar khargosh ko udhaa den
munnu ki laal topi bakre ko ham pahna den

daada-miyaan ka chashma aankhon mein ham laga kar
rasta chalen kamar ko apni zara jhuka kar

aaya naseehaton par ham ko na kaan dena
murgon ke saath mil kar bhaaye azaan dena

baazi ka har dupatta apna bane amaama
joker banen pahan kar bhaiyya ka paayjaama

sofon pe khoob koodein uddham bahut machaayein
mil jaaye jo canister phir dhol ham bajaayen

garmi ki dopahar mein baagon ki khaak faanken
chidiyon ke ghonslon mein ja ja ke roz jhaanken

amrood hon jo kacche un ko zaroor todhen
sab kaam chhoot jaaye ye kaam ham na chhodein

paani mein rang gholein us ka banaayein sharbat
pedon pe chadh ke baitheen samjhen use hi parbat

kutte ko dekhte hi daudaayein le ke danda
apni bahaaduri ka leharaayen khoob jhanda

yaaron ke saath mil kar qawwaliyaan bhi gaayein
tabla bajaayen munh se aur taan bhi udaayein

insaaf-var hain jitne vo is ko maante hain
duniya ki har sharaarat ham khoob jaante hain

ham ko hai fakhr is par ham hain shareer bacche
maahir hain apne fan mein ham be-nazeer bacche

हम को है फ़ख़्र इस पर हम हैं शरीर बच्चे
माहिर हैं अपने फ़न में हम बे-नज़ीर बच्चे

पिल्ले को घर में लाएँ बाँहों में हम जकड़ कर
मौक़ा मिले तो खींचें बिल्ली की दुम पकड़ कर

देखें अगर गधे को दाग़ें उसे सलामी
अपना जो बस चले तो उस की करें ग़ुलामी

बकरे पे बैठ कर हम गलियों में रोज़ घूमें
चूँ-चूँ करे जो चूज़ा उस को ज़रूर चूमें

बिस्तर की सब्ज़ चादर ख़रगोश को उढ़ा दें
मुन्नू की लाल टोपी बकरे को हम पहना दें

दादा-मियाँ का चश्मा आँखों में हम लगा कर
रस्ता चलें कमर को अपनी ज़रा झुका कर

आया नसीहतों पर हम को न कान देना
मुर्गों के साथ मिल कर भाए अज़ान देना

बाजी का हर दुपट्टा अपना बने अमामा
जोकर बनें पहन कर भय्या का पाएजामा

सोफ़ों पे ख़ूब कूदें ऊधम बहुत मचाएँ
मिल जाए जो कनस्तर फिर ढोल हम बजाएँ

गर्मी की दोपहर में बाग़ों की ख़ाक फाँकें
चिड़ियों के घोंसलों में जा जा के रोज़ झांकें

अमरूद हों जो कच्चे उन को ज़रूर तोड़ें
सब काम छूट जाए ये काम हम न छोड़ें

पानी में रंग घोलें उस का बनाएँ शर्बत
पेड़ों पे चढ़ के बैठें समझें उसे ही पर्बत

कुत्ते को देखते ही दौड़ाएँ ले के डंडा
अपनी बहादुरी का लहराएँ ख़ूब झंडा

यारों के साथ मिल कर क़व्वालियाँ भी गाएँ
तबला बजाएँ मुँह से और तान भी उड़ाएँ

इंसाफ़-वर हैं जितने वो इस को मानते हैं
दुनिया की हर शरारत हम ख़ूब जानते हैं

हम को है फ़ख़्र इस पर हम हैं शरीर बच्चे
माहिर हैं अपने फ़न में हम बे-नज़ीर बच्चे

  - Zafar Kamali

Garmi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Zafar Kamali

As you were reading Shayari by Zafar Kamali

Similar Writers

our suggestion based on Zafar Kamali

Similar Moods

As you were reading Garmi Shayari Shayari