dil phir us kooche mein jaane waala hai | दिल फिर उस कूचे में जाने वाला है

  - Zubair Ali Tabish

dil phir us kooche mein jaane waala hai
baithe-bithaye thokar khaane waala hai

tark-e-taalluq ka dhadka sa hai dil ko
vo mujh ko ik baat bataane waala hai

kitne adab se baithe hain sukhe paude
jaise baadal she'r sunaane waala hai

ye mat soch saraaye par kya bitegi
tu to bas ik raat bitaane waala hai

eenton ko aapas mein milaane waala shakhs
asl mein ik deewaar uthaane waala hai

gaadi ki raftaar mein aayi hai susti
shaayad ab station aane waala hai

aakhri hichki leni hai ab aa jaao
ba'ad mein tum ko kaun bulane waala hai

दिल फिर उस कूचे में जाने वाला है
बैठे-बिठाए ठोकर खाने वाला है

तर्क-ए-तअल्लुक़ का धड़का सा है दिल को
वो मुझ को इक बात बताने वाला है

कितने अदब से बैठे हैं सूखे पौदे
जैसे बादल शे'र सुनाने वाला है

ये मत सोच सराए पर क्या बीतेगी
तू तो बस इक रात बिताने वाला है

ईंटों को आपस में मिलाने वाला शख़्स
अस्ल में इक दीवार उठाने वाला है

गाड़ी की रफ़्तार में आई है सुस्ती
शायद अब स्टेशन आने वाला है

आख़री हिचकी लेनी है अब आ जाओ
बा'द में तुम को कौन बुलाने वाला है

  - Zubair Ali Tabish

Dil Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Zubair Ali Tabish

As you were reading Shayari by Zubair Ali Tabish

Similar Writers

our suggestion based on Zubair Ali Tabish

Similar Moods

As you were reading Dil Shayari Shayari