jab vo mere shaana-b-shaana chalta hai | जब वो मेरे शाना-ब-शाना चलता है - Zubair Ali Tabish

jab vo mere shaana-b-shaana chalta hai
pas manzar mein koi gaana chalta hai

main poori zimmedaari se peeta hoon
meri lagzish se maykhaana chalta hai

aawaara'gardi par laanat hai lekin
ek gali mein aana-jaana chalta hai

pal-pal mein bijli ke jhatke dete ho
aise to bas paagal-khaana chalta hai

aap kisi mauqe par maatam karte hain
hum logon ka to rozaana chalta hai

tumko meri chaal pe fikre kasne the
kas lo kamar ko ab deewaana chalta hai

जब वो मेरे शाना-ब-शाना चलता है
पस मंज़र में कोई गाना चलता है

मैं पूरी ज़िम्मेदारी से पीता हूं
मेरी लग़ज़िश से मयख़ाना चलता है

आवारा'गर्दी पर लानत है लेकिन
एक गली में आना-जाना चलता है

पल-पल में बिजली के झटके देते हो
ऐसे तो बस पागलख़ाना चलता है

आप किसी मौक़े पर मातम करते हैं
हम लोगों का तो रोज़ाना चलता है

तुमको मेरी चाल पे फ़िक़्रे कसने थे
कस लो कमर को अब दीवाना चलता है

- Zubair Ali Tabish
36 Likes

Tevar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Zubair Ali Tabish

As you were reading Shayari by Zubair Ali Tabish

Similar Writers

our suggestion based on Zubair Ali Tabish

Similar Moods

As you were reading Tevar Shayari Shayari