khaali baithe ho to ek kaam mera kar do na
mujhko achha sa koi zakhm ada kar do na
dhyaan se panchiyo ko dete ho daana paani
itne achhe ho to pinjare se rihaa kar do na
jab qareeb aa hi gaye ho to udaasi kaisi
jab diya de hi rahe ho to jala kar do na
खाली बैठे हो तो एक काम मेरा कर दो ना
मुझको अच्छा सा कोई जख्म अदा कर दो ना
ध्यान से पंछियो को देते हो दाना पानी
इतने अच्छे हो तो पिंजरे से रिहा कर दो ना
जब करीब आ ही गये हो तो उदासी कैसी
जब दीया दे ही रहे हो तो जला कर दो ना
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Zubair Ali Tabish
our suggestion based on Zubair Ali Tabish
As you were reading Zakhm Shayari Shayari