raaste jo bhi chamak-daar nazar aate hain
sab teri odhni ke taar nazar aate hain
koi paagal hi mohabbat se nawaazega mujhe
aap to khair samajhdaar nazar aate hain
main kahaan jaaun karoon kis se shikaayat us ki
har taraf us ke taraf-daar nazar aate hain
zakham bharne lage hain pichhli mulaqaaton ke
phir mulaqaat ke aasaar nazar aate hain
ek hi baar nazar padti hai un par taabish
aur phir vo hi lagaataar nazar aate hain
रास्ते जो भी चमक-दार नज़र आते हैं
सब तेरी ओढ़नी के तार नज़र आते हैं
कोई पागल ही मोहब्बत से नवाज़ेगा मुझे
आप तो ख़ैर समझदार नज़र आते हैं
मैं कहाँ जाऊँ करूँ किस से शिकायत उस की
हर तरफ़ उस के तरफ़-दार नज़र आते हैं
ज़ख़्म भरने लगे हैं पिछली मुलाक़ातों के
फिर मुलाक़ात के आसार नज़र आते हैं
एक ही बार नज़र पड़ती है उन पर 'ताबिश'
और फिर वो ही लगातार नज़र आते हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Zubair Ali Tabish
our suggestion based on Zubair Ali Tabish
As you were reading Love Shayari Shayari