sukh ye jab aane ka rasta dekhta hai
mere ghar vo gham ko thehra dekhta hai
vo mujhe ab dekhta hai is tarah se
haan khilauna jaise baccha dekhta hai
khud hi ko main tak raha tha aise jaise
ik khilauna khud ko toota dekhta hai
roothta tha jo kisi ke choone pe tab
aaj toota hoon vo baitha dekhta hai
kehta hai vo sab mere jaise hi to hain
yaar vo sheeshe mein sheesha dekhta hai
ishq ham jaison ka jaata hai bade ghar
sach hai ye ab ishq paisa dekhta hai
is naye rishte ko ab haan kar de saurabh
uski shaadi tay hai tu kya dekhta hai
सुख ये जब आने का रस्ता देखता है
मेरे घर वो ग़म को ठहरा देखता है
वो मुझे अब देखता है इस तरह से
हाँ खिलौना जैसे बच्चा देखता है
ख़ुद ही को मैं तक रहा था ऐसे जैसे,
इक खिलौना ख़ुद को टूटा देखता है,
रूठता था जो किसी के छूने पे तब,
आज टूटा हूँ वो बैठा देखता है,
कहता है वो सब मेरे जैसे ही तो हैं
यार वो शीशे में शीशा देखता है
इश्क़ हम जैसों का जाता है बड़े घर
सच है ये अब इश्क़ पैसा देखता है
इस नये रिश्ते को अब हाँ कर दे सौरभ
उसकी शादी तय है तू क्या देखता है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by 100rav
our suggestion based on 100rav
As you were reading Mahatma Gandhi Shayari Shayari