ek hi shakhs dikhe ab to jidhar jaaun main | एक ही शख़्स दिखे अब तो जिधर जाऊँ मैं - Aqib khan

ek hi shakhs dikhe ab to jidhar jaaun main
gar yahi hona ho behtar hai thehar jaaun main

pairhan kaala tira aur khuli zulfen hain
mai agar tujh pe na mar jaaun to mar jaaun main

raah-e-ulfat pe mujhe chhod ke jaane waale
ye bataata hua jaata ke kidhar jaaun main

vaise us shakhs ki jaanib nahin jaana phir bhi
rok lena mujhe tum log agar jaaun main

kitni gehraai mein jaana hai mujhe uthne ko
jab thame saans samandar se ubhar jaaun main

main isee soch mein baitha hua hoon bogi mein
yaad aaye jo pata ghar ka utar jaaun main

एक ही शख़्स दिखे अब तो जिधर जाऊँ मैं
गर यही होना हो बेहतर है ठहर जाऊँ मैं

पैरहन काला तिरा और खुली ज़ुल्फें हैं
मै अगर तुझ पे न मर जाऊँ तो मर जाऊँ मैं

राह-ए-उल्फ़त पे मुझे छोड़ के जाने वाले
ये बताता हुआ जाता के किधर जाऊँ मैं

वैसे उस शख्स की जानिब नहीं जाना फिर भी
रोक लेना मुझे तुम लोग अगर जाऊँ मैं

कितनी गहराई में जाना है मुझे उठने को?
जब थमे साँस समंदर से उभर जाऊँ मैं

मैं इसी सोच में बैठा हुआ हूँ बोगी में
याद आए जो पता घर का उतर जाऊँ मैं

- Aqib khan
4 Likes

I Miss you Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Aqib khan

As you were reading Shayari by Aqib khan

Similar Writers

our suggestion based on Aqib khan

Similar Moods

As you were reading I Miss you Shayari Shayari