uske maathe pe kisi hi aur ka sindoor hai | उसके माथे पे किसी ही और का सिन्दूर है

  - Arohi Tripathi

uske maathe pe kisi hi aur ka sindoor hai
dil ke andar hai magar lagta hamesha door hai

ek vaade pe guzar jaati hamaari zindagi
jaanta hoon pyaar mein vo aaj bhi majboor hai

sach yahi duniya mohabbat ko samjhti hi nahin
ek hone hi nahin de ishq mein dastoor hai

aur chaahat bhi nahin hai aur khwaahish bhi nahin
ek jannat hai jahaan mein ek meri hoor hai

उसके माथे पे किसी ही और का सिन्दूर है
दिल के अंदर है मगर लगता हमेशा दूर है

एक वादे पे गुज़र जाती हमारी ज़िंदगी
जानता हूँ प्यार में वो आज भी मजबूर है

सच यही दुनिया मोहब्बत को समझती ही नहीं
एक होने ही नहीं दे इश्क़ में दस्तूर है

और चाहत भी नहीं है और ख़्वाहिश भी नहीं
एक जन्नत है जहाँ में एक मेरी हूर है

  - Arohi Tripathi

Aarzoo Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Arohi Tripathi

As you were reading Shayari by Arohi Tripathi

Similar Writers

our suggestion based on Arohi Tripathi

Similar Moods

As you were reading Aarzoo Shayari Shayari