kaash ye zindagi nahin hoti
phir kahi khud-kushi nahin hoti
usko gar bolne diya jaata
is tarah bolti nahin hoti
ek aisi bala mohabbat hai
jo kabhi multavi nahin hoti
chot jo dil lahu lahu kar de
chot vo baahri nahin hoti
aarzoo aarzoo hi hoti hai
pehli ya aakhiri nahin hoti
matlabi doston ke hone se
dosti matlabi nahin hoti
raat din may-kashi to hoti hai
raat din be-khudi nahin hoti
yaar ham aashiqi to kya karte
ham se jab shayari nahin hoti
काश ये, ज़िंदगी नहीं होती
फिर कहीं, ख़ुद–कुशी नहीं होती
उसको गर, बोलने दिया जाता
इस तरह, बोलती नहीं होती
एक ऐसी बला, मोहब्बत है
जो कभी, मुल्तवी नहीं होती
चोट जो, दिल लहू लहू कर दे
चोट वो, बाहरी नहीं होती
आरज़ू, आरज़ू ही होती है
पहली या आख़िरी नहीं होती
मतलबी दोस्तों के होने से
दोस्ती, मतलबी नहीं होती
रात दिन मय–कशी तो होती है
रात दिन बे–ख़ुदी नहीं होती
यार हम आशिक़ी तो क्या करते
हम से जब शायरी नहीं होती
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Abhishek Bhadauria 'Abhi'
our suggestion based on Abhishek Bhadauria 'Abhi'
As you were reading Ghayal Shayari Shayari