pal-bhar tere qareeb hoon pal-bhar nahin hoon main | पल-भर तेरे क़रीब हूँ पल-भर नहीं हूँ मैं

  - Abhishek Bhadauria 'Abhi'

pal-bhar tere qareeb hoon pal-bhar nahin hoon main
hona jo chahta hoon vo akshar nahin hoon main

kya wasf hai ki jaise khuda har jagah hai tu
kya zulm hai ki apne hi andar nahin hoon main

padhna kai dafa pade mubham vo she'r hoon
khul jaaye har kisi pe jo yaksar nahin hoon main

saath un ke mujh ko dekh ke unki tarah na jaan
lashkar mein hoon p hissa-e-lashkar nahin hoon main

mujh ko bikherne mein mashqat na kar ki ai
mauj-e-naseem boo-e-gul-e-tar nahin hoon main

taur-o-tareeq-e-husn ka mujh ko nahin hai ilm
rasm-o-rivaaj-e-'ishq se khugar nahin hoon main

meri to har nafs pe navishta hai us ka naam
khwaab-o-khyaal-e-yaar mein kyunkar nahin hoon main

kis zabt-e-dil se us se ye kehna pada abhi
jaan-e-'azeez tera muqaddar nahin hoon main

पल-भर तेरे क़रीब हूँ पल-भर नहीं हूँ मैं
होना जो चाहता हूँ वो अक्सर नहीं हूँ मैं

क्या वस्फ़ है कि जैसे ख़ुदा हर जगह है तू
क्या ज़ुल्म है कि अपने ही अन्दर नहीं हूँ मैं

पढ़ना कई दफ़ा पड़े मुबहम वो शे'र हूँ
खुल जाए हर किसी पे जो यकसर नहीं हूँ मैं

साथ उन के मुझ को देख के उनकी तरह न जान
लश्कर में हूँ प हिस्सा–ए–लश्कर नहीं हूँ मैं

मुझ को बिखेरने में मशक़्क़त न कर कि ऐ
मौज-ए-नसीम बू-ए-गुल-ए-तर नहीं हूँ मैं

तौर-ओ-तरीक़-ए-हुस्न का मुझ को नहीं है इल्म
रस्म-ओ-रिवाज-ए-'इश्क़ से ख़ूगर नहीं हूँ मैं

मेरी तो हर नफ़स पे नविश्ता है उस का नाम
ख़्वाब-ओ-ख़याल–ए-यार में क्यूँकर नहीं हूँ मैं

किस ज़ब्त-ए-दिल से उस से ये कहना पड़ा ‘अभी’
जान-ए-'अज़ीज़ तेरा मुक़द्दर नहीं हूँ मैं

  - Abhishek Bhadauria 'Abhi'

Relationship Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Abhishek Bhadauria 'Abhi'

As you were reading Shayari by Abhishek Bhadauria 'Abhi'

Similar Writers

our suggestion based on Abhishek Bhadauria 'Abhi'

Similar Moods

As you were reading Relationship Shayari Shayari