hai khabar mujh ko muqammal jaanta koi nahin | है ख़बर मुझ को मुक़म्मल जानता कोई नहीं

  - Bhoomi Srivastava

hai khabar mujh ko muqammal jaanta koi nahin
isliye mera musalsal raabta koi nahin

gaav hoon jaise koi main jis mein rahte sab magar
der tak basna wafa se chahta koi nahin

dukh ye mujh ko kha raha hai jaane kya hai mujh mein jo
main agar boluun nahin to bolta koi nahin

khudkushi karna agar chaahoon to mushkil hai badi
mujhko meri harkaton par tokta koi nahin

dekhti hoon sab ko itni aas se main har dafa
haal to sunte hain sab par poochta koi nahin

mas'ala mera yahi to hai ki mujh ko chahiye
pyaar apnon ka faqat ye maanta koi nahin

bhoomi ziyaada dhyaan mat do in sabhi baaton pe tum
khud hi pocho apne aansu pochta koi nahin

है ख़बर मुझ को मुक़म्मल जानता कोई नहीं
इसलिए मेरा मुसलसल राब्ता कोई नहीं

गाँव हूँ जैसे कोई मैं जिस में रहते सब मगर
देर तक बसना वफ़ा से चाहता कोई नहीं

दुख ये मुझ को खा रहा है जाने क्या है मुझ में जो
मैं अगर बोलूँ नहीं तो बोलता कोई नहीं

ख़ुदकुशी करना अगर चाहूँ तो मुश्किल है बड़ी
मुझको मेरी हरकतों पर टोकता कोई नहीं

देखती हूँ सब को इतनी आस से मैं हर दफ़ा
हाल तो सुनते हैं सब पर पूछता कोई नहीं

मस'अला मेरा यही तो है कि मुझ को चाहिए
प्यार अपनों का फ़क़त ये मानता कोई नहीं

'भूमि' ज़्यादा ध्यान मत दो इन सभी बातों पे तुम
ख़ुद ही पोछो अपने आँसू पोछता कोई नहीं

  - Bhoomi Srivastava

Anjam Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Bhoomi Srivastava

As you were reading Shayari by Bhoomi Srivastava

Similar Writers

our suggestion based on Bhoomi Srivastava

Similar Moods

As you were reading Anjam Shayari Shayari