tanhaai kar deti hai raaton ka hisaab
ik raat me dheere se ho jaana hisaab
achhe mein mil jaata bura kalyug hai ye
anpadh ne bhi seekha tha paison ka hisaab
marne ki kya taarikh ye maaloom tha
ab tu bata baaki hai kya apna hisaab
rishton ki har ik dor kacchi ho gai
boodha pada ye soche kab hoga hisaab
hota bharosa thoda sa taqdeer ka
taqdeer ka bhi karm kar deta hisaab
ye gyaan mujhko der se aaya magar
seekha dharm ne der se thoda hisaab
तन्हाई कर देती है रातों का हिसाब
इक रात मे धीरे से हो जाना हिसाब
अच्छे में मिल जाता बुरा कलयुग है ये
अनपढ़ ने भी सीखा था पैसों का हिसाब
मरने की क्या तारीख़ ये मालूम था
अब तू बता बाक़ी है क्या अपना हिसाब
रिश्तों की हर इक डोर कच्ची हो गई
बूढ़ा पड़ा ये सोचे कब होगा हिसाब
होता भरोसा थोड़ा सा तक़दीर का
तक़दीर का भी कर्म कर देता हिसाब
ये ज्ञान मुझको देर से आया मगर
सीखा धरम ने देर से थोड़ा हिसाब
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by "Dharam" Barot
our suggestion based on "Dharam" Barot
As you were reading Eitbaar Shayari Shayari