ik aashiq laachaar ka dukh
hai jaise sansaar ka dukh
tera dukh to awwal hai
aur uspar gharbaar ka dukh
dukh hi dukh hai jeevan mein
aur phir pehle pyaar ka dukh
tumko dekh na paaunga
mujhko hai itwaar. ka dukh
zulm saho aur chup bhi raho
haakim ke azaar ka dukh
ek to tujh se ishq hua
phir tere inkaar ka dukh
इक आशिक़ लाचार का दुःख
है जैसे संसार का दुःख
तेरा दुःख तो अव्वल है
और उसपर घरबार का दुःख
दुःख ही दुःख है जीवन में
और फिर पहले प्यार का दुःख
तुमको देख न पाऊंगा
मुझको है इतवार का दुःख
ज़ुल्म सहो और चुप भी रहो
हाकिम के आज़ार का दुःख
एक तो तुझ से इश्क़ हुआ
फिर तेरे इंकार का दुःख
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Shadab Asghar
our suggestion based on Shadab Asghar
As you were reading Aashiq Shayari Shayari