gardishon mein ye sitaare raqs karte hain | गर्दिशों में ये सितारे रक़्स करते हैं

  - Happy Srivastava 'Ambar'

gardishon mein ye sitaare raqs karte hain
note par aadam ye saare raqs karte hain

sog mein aah-o-fugan tark-e-wafa aur ham
ab talak saare nazare raqs karte hain

jal rahi ho jab kabhi insaan ki basti
raaston par kuchh sharaare raqs karte hain

chaand si ik chaand ke bas ik ishaare par
bazm mein saare ke saare raqs karte hain

bhookh roti ki ajab ik dhun banaati hai
muflisi mein be-sahaare raqs karte hain

ishq mein ambar hamein bekhud sa hona hai
jis tarah darvesh saare raqs karte hain

गर्दिशों में ये सितारे रक़्स करते हैं
नोट पर आदम ये सारे रक़्स करते हैं

सोग में आह-ओ-फ़ुग़ाँ तर्क-ए-वफ़ा और हम
अब तलक सारे नज़ारे रक़्स करते हैं

जल रही हो जब कभी इंसान की बस्ती
रास्तों पर कुछ शरारे रक़्स करते हैं

चाँद सी इक चाँद के बस इक इशारे पर
बज़्म में सारे के सारे रक़्स करते हैं

भूख रोटी की अजब इक धुन बनाती है
मुफ़लिसी में बे-सहारे रक़्स करते हैं

इश्क़ में 'अंबर' हमें बेख़ुद सा होना है
जिस तरह दरवेश सारे रक़्स करते हैं

  - Happy Srivastava 'Ambar'

Gareebi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Happy Srivastava 'Ambar'

As you were reading Shayari by Happy Srivastava 'Ambar'

Similar Writers

our suggestion based on Happy Srivastava 'Ambar'

Similar Moods

As you were reading Gareebi Shayari Shayari