zamaane bhar ke rishton se bhala kyun dushmani karna | ज़माने भर के रिश्तों से भला क्यूँ दुश्मनी करना

  - AYUSH SONI

zamaane bhar ke rishton se bhala kyun dushmani karna
hamaare daur mein aasaan nahin hai aashiqi karna

wahan jo chaand hai usko meri baatein bataata hai
main kehta hoon use achha nahin hai mukhbiri karna

mere ham umr saathi ishq mein gar toot jaaye dil
gham-e-hijraan mein ik mehfil sajaana shaayari karna

suna hai tum samajhna chahte ho muflison ka dukh
to unke paas jaana aur unse dosti karna

khushamad kar rahe ho baarha zulmi siyaasat kii
bhai achha nahin hota hai aisi naukri karna

wahi ik aakhiri rasta hai paane ka tujhe lekin
main kaafir hoon mujhe aata nahin hai bandagi karna

ज़माने भर के रिश्तों से भला क्यूँ दुश्मनी करना
हमारे दौर में आसाँ नहीं है आशिक़ी करना

वहाँ जो चाँद है उसको मेरी बातें बताता है
मैं कहता हूँ उसे अच्छा नहीं है मुख़बिरी करना

मेरे हम उम्र साथी इश्क़ में गर टूट जाए दिल
ग़म-ए-हिज्राँ में इक महफ़िल सजाना शाइरी करना

सुना है तुम समझना चाहते हो मुफ़लिसों का दुख
तो उनके पास जाना और उनसे दोस्ती करना

ख़ुशामद कर रहे हो बारहा ज़ुल्मी सियासत की
भई अच्छा नहीं होता है ऐसी नौकरी करना

वही इक आख़िरी रस्ता है पाने का तुझे लेकिन
मैं काफ़िर हूँ मुझे आता नहीं है बंदगी करना

  - AYUSH SONI

More by AYUSH SONI

As you were reading Shayari by AYUSH SONI

Similar Writers

our suggestion based on AYUSH SONI

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari