dil ye jis par aaye uski khair ho | दिल ये जिस पर आए उसकी ख़ैर हो - Chandan Sharma

dil ye jis par aaye uski khair ho
jis ko bhi ye bhaaye uski khair ho

sar se pa khaakastare-khaamosh hain
jo hamein apnaaye uski khair ho

vo rahe har haal mein khush gham se door
vo jahaan bhi jaaye uski khair ho

zindagi ik maut hai mujh ko so hai
maut jannat haaye uski khair ho

main kisi ko samjhoon na samjhoon magar
mujh ko jo samjhaaye uski khair ho

daur ae haazir mein hamein jo ishq ke
faayde ginwaaye uski khair ho

aag bhar kar nikle hain ham seene mein
ham se jo takraaye uski khair ho

ishq hai kah kar kisi ko ishq mein
dil ko jo tadpaaye uski khair ho

ja chuka hai zindagi se meri door
jo bina batlaaye uski khair ho

mere peeche meri ghazalon nazmon ko
jo parhe jo gaaye uski khair ho

दिल ये जिस पर आए उसकी ख़ैर हो
जिस को भी ये भाए उसकी ख़ैर हो

सर से पा ख़ाकस्तरे-ख़ामोश हैं
जो हमें अपनाए उसकी ख़ैर हो

वो रहे हर हाल में खुश, ग़म से दूर
वो जहाँ भी जाए उसकी ख़ैर हो

ज़िंदगी इक मौत है मुझ को सो है
मौत जन्नत हाए उसकी ख़ैर हो

मैं किसी को समझूँ ना समझूँ मगर
मुझ को जो समझाए उसकी ख़ैर हो

दौर ए हाज़िर में हमें जो इश्क़ के
फ़ायदे गिनवाए उसकी ख़ैर हो

आग भर कर निकले हैं हम सीने में
हम से जो टकराए उसकी ख़ैर हो

इश्क़ है कह कर किसी को इश्क़ में
दिल को जो तड़पाए उसकी ख़ैर हो

जा चुका है ज़िंदगी से मेरी दूर
जो बिना बतलाए उसकी ख़ैर हो

मेरे पीछे मेरी ग़ज़लों नज़्मों को
जो पढ़े जो गाए उसकी ख़ैर हो

- Chandan Sharma
0 Likes

Duniya Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Chandan Sharma

As you were reading Shayari by Chandan Sharma

Similar Writers

our suggestion based on Chandan Sharma

Similar Moods

As you were reading Duniya Shayari Shayari