kar ke sochta hoon jaazib ye kya kiya maine
kyun zamaane ke aage aaina kiya maine
log karte hain sajde us khuda ka ulfat mein
ek shakhs ko ulfat mein khuda kiya maine
khud se main miloonga jab ek baat poochhoonga
bewafaai ke badle kyun wafa kiya maine
yun to ham dono ko ahad ae wafa nibhaani thi
tum mukar gai par apna kaha kiya maine
mujh ko apni tanhaai mein akela rahna tha
aur kya phir khud ko khud se juda kiya maine
tujh se bewafaai ham karte bhi to kaise jaan
so harik dafa khud se hi daga kiya maine
hai khafa-khafa mujh se zindagi ye meri kyun
maut se is jeest par mashwara kiya maine
mujh pe haq tumhaara be-had hai pyaar ke naate
so ho ke tumhaara kuchh haq ada kiya maine
tujh se ishq karna hi tha ajaab sa mujh ko
haif ik yahi galati baarha kiya maine
kaun dhoondhta ja ke shaadmaani gham rahte
gham se dillagi kar li kya bura kiya maine
vasl hijr mil kar tha khel do pal ka saara
mukhtasar se us kisse ko bada kiya maine
baat rakh ke meyari nazm o ghazalon mein apni
khud hi khud ke khaatir masla khada kiya maine
chandan sharma jaazib
bahr-212 1222 212 1222
कर के सोचता हूँ 'जाज़िब' ये क्या किया मैंने
क्यों ज़माने के आगे आइना किया मैंने
लोग करते हैं सजदे उस ख़ुदा का उल्फ़त में
एक शख्स को उल्फ़त में ख़ुदा किया मैंने
ख़ुद से मैं मिलूँगा जब एक बात पूछूँगा
बेवफ़ाई के बदले क्यों वफ़ा किया मैंने
यूँ तो हम दोनों को अहद ए वफा़ निभानी थी
तुम मुकर गई पर, अपना कहा किया मैंने
मुझ को अपनी तन्हाई में अकेले रहना था
और क्या फिर ख़ुद को ख़ुद से जुदा किया मैंने
तुझ से बेवफ़ाई हम करते भी तो कैसे जाँ
सो हरिक दफ़ा ख़ुद से ही दग़ा किया मैंने
है ख़फा-ख़फा मुझ से ज़िंदगी ये मेरी क्यों?
मौत से इस जीस्त पर मशवरा किया मैंने
मुझ पे हक़ तुम्हारा बे-हद है प्यार के नाते
सो हो के तुम्हारा कुछ हक़ अदा किया मैंने
तुझ से इश्क़ करना ही था अजाब सा मुझ को
हैफ़ इक यही गलती बारहा किया मैंने
कौन ढूँढता जा के शादमानी ग़म रहते
ग़म से दिल्लगी कर ली क्या बुरा किया मैंने
वस्ल हिज्र मिल कर था खेल दो पल का सारा
मुख़्तसर से उस किस्से को बड़ा किया मैंने
बात रख के मेयारी नज़्म ओ ग़ज़लों में अपनी
ख़ुद ही ख़ुद के ख़ातिर मसला खड़ा किया मैंने
©चन्दन शर्मा "जाज़िब"
बह्र-212 1222 212 1222
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Chandan Sharma
our suggestion based on Chandan Sharma
As you were reading Bewafai Shayari Shayari