dil shehar ke gali se uthata ye shor hai jaan | दिल शहर के गली से उठता ये शोर है जान - Chandan Sharma

dil shehar ke gali se uthata ye shor hai jaan
sone nahin de shab bhar aisa ye shor hai jaan

main raat bhar jala ke cigarette ye sochta hoon
kis ne kise sada di kaisa ye shor hai jaan

baahar se lab pe khaamoshi aur apne andar
maujood main nahin hoon jitna ye shor hai jaan

tardpaaye bhi sataaye bhi aur kabhi rijhaaye
tujh sa tere tasavvur jaisa ye shor hai jaan

achhe bhale logon ko paagal bana deta hai
maano yakeen tumhaara chehra ye shor hai jaan

hai koi jo siskata hai aur cheekhta hai
dil cheer de sadaaen waisa ye shor hai jaan

hai hijr kaatne ko do raaste mere paas
ik khaamoshi hai dooja rasta ye shor hai jaan

aur haan ki shehar ae dil ko ye tabaah kar de
mat socho aap aisa-vaisa ye shor hai jaan

shaayad kisi se jaazib naarazgi ho ya phir
shaayad kisi ke gham mein dooba ye shor hai jaan

दिल शहर के गली से उठता ये शोर है जान
सोने नहीं दे शब भर ऐसा ये शोर है जान

मैं रात भर जला के सिगरेट ये सोचता हूँ
किस ने किसे सदा दी कैसा ये शोर है जान

बाहर से लब पे ख़ामोशी और अपने अंदर
मौजूद मैं नहीं हूँ जितना ये शोर है जान

तड़पाये भी सताये भी और कभी रिझाए
तुझ सा, तेरे तसव्वुर जैसा ये शोर है जान

अच्छे भले लोगों को पागल बना देता है
मानो यकीं तुम्हारा चेहरा ये शोर है जान

है कोई जो सिसकता है और चीखता है
दिल चीर दे सदाएं वैसा ये शोर है जान

है हिज्र काटने को दो रास्ते मेरे पास
इक ख़ामोशी है दूजा रस्ता ये शोर है जान

और हाँ कि शहर ए दिल को ये तबाह कर दे!
मत सोचो आप ऐसा-वैसा ये शोर है जान

शायद किसी से "जाज़िब" नाराज़गी हो या फिर
शायद किसी के ग़म में डूबा ये शोर है जान

- Chandan Sharma
0 Likes

Shehar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Chandan Sharma

As you were reading Shayari by Chandan Sharma

Similar Writers

our suggestion based on Chandan Sharma

Similar Moods

As you were reading Shehar Shayari Shayari