ab to koi chamatkaar hota nahin
sach ka koi talabgaar hota nahin
dhoondlo chahe jitne hasi chehre tum
bewafa to wafaadar hota nahin
paison ka zoom le aata hai farsh par
aadmi fir bhi bedaar hota nahin
zehar mat di jiyega use peene ko
ishq waala samajhdaar hota nahin
yah zamaana naya hai yahan doston
asli chehra numoodaar hota nahin
अब तो कोई चमत्कार होता नहीं
सच का कोई तलबगार होता नहीं
ढूंढलो चाहे जितने हँसी चेहरे तुम
बेवफ़ा तो वफ़ादार होता नहीं
पैसों का ज़ोम ले आता है फर्श पर
आदमी फ़िर भी बेदार होता नहीं
ज़हर मत दी जिएगा उसे पीने को
इश्क़ वाला समझदार होता नहीं
यह ज़माना नया है यहाँ दोस्तों
असली चेहरा नुमूदार होता नहीं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Meem Alif Shaz
our suggestion based on Meem Alif Shaz
As you were reading Ulfat Shayari Shayari