baarishen aane se bazaar badal jaata hai | बारिशें आने से बाज़ार बदल जाता है - Meem Alif Shaz

baarishen aane se bazaar badal jaata hai
bechne waalon ka kirdaar badal jaata hai

vaada to karta hai is baar nahin badlega
yah alag baat ki har baar badal jaata hai

zindagi kuch nahin bas chalta hua naatak hai
koii jaaye to adakaar badal jaata hai

saari tadbeerein zaroori hain duaon ke saath
haadsa hone se gharbaar badal jaata hai

बारिशें आने से बाज़ार बदल जाता है
बेचने वालों का किरदार बदल जाता है

वादा तो करता है इस बार नहीं बदलेगा
यह अलग बात कि हर बार बदल जाता है

ज़िन्दगी कुछ नहीं बस चलता हुआ नाटक है
कोई जाए तो अदाकार बदल जाता है

सारी तदबीरें ज़रूरी हैं दुआओं के साथ
हादसा होने से घरबार बदल जाता है

- Meem Alif Shaz
0 Likes

Partition Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Meem Alif Shaz

As you were reading Shayari by Meem Alif Shaz

Similar Writers

our suggestion based on Meem Alif Shaz

Similar Moods

As you were reading Partition Shayari Shayari