dosti mein jafa nahin achhi
zakhm de ke dava nahin achhi
zindagi jab ye toot hi jaaye
is ki aisi ada nahin achhi
doobne hi lage agar kashti
naa-khuda se dua nahin achhi
jo diya se kare mohabbat bhi
ghar mein aisi hawa nahin achhi
bacche bhi ik bhanwar mein fans jaaye
khud ko itni saza nahin achhi
paanv se kaanta jab nikal jaaye
zindagi se dagaa nahin achhi
दोस्ती में जफ़ा नहीं अच्छी
ज़ख़्म दे के दवा नहीं अच्छी
ज़िन्दगी जब ये टूट ही जाए
इस की ऐसी अदा नहीं अच्छी
डूबने ही लगे अगर कश्ती
ना-ख़ुदा से दुआ नहीं अच्छी
जो दिया से करे मोहब्बत भी
घर में ऐसी हवा नहीं अच्छी
बच्चे भी इक भंवर में फँस जाए
ख़ुद को इतनी सज़ा नहीं अच्छी
पाँव से काँटा जब निकल जाए
ज़िन्दगी से दग़ा नहीं अच्छी
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Meem Alif Shaz
our suggestion based on Meem Alif Shaz
As you were reading Ghar Shayari Shayari