kaanton pe bhi chalne ki aadat daalo yaaron
jab taazi roti na mile sookhi khaalo yaaron
log to kaafi kaam bhalaai ka karte hi hain
apne ghar mein ek kabootar bhi paalo yaaron
yah sarkaar to tum ko poora ghaayal kar degi
apni zubaan pe ik achha taalaa daalo yaaron
काँटों पे भी चलने की आदत डालो यारों
जब ताज़ी रोटी न मिले सूखी खालो यारों
लोग तो काफ़ी काम भलाई का करते ही हैं
अपने घर में एक कबूतर भी पालो यारों
यह सरकार तो तुम को पूरा घायल कर देगी
अपनी ज़ुबाँ पे इक अच्छा ताला डालो यारों
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Meem Alif Shaz
our suggestion based on Meem Alif Shaz
As you were reading Aadat Shayari Shayari