kaun hai jo mera gham badha deta hai | कौन है जो मिरा ग़म बढ़ा देता है

  - Meem Alif Shaz

kaun hai jo mera gham badha deta hai
maazi ke dar se mujh ko sada deta hai

hausla zinda hai to main bhi zinda hoon
haadsa varna sab kuchh mita deta hai

jaise hi peeta hoon main khushi thodi si
mera ik dost doori badha deta hai

neend mein khwaab bhi ajnabi ki tarah
bas chala jaata hai gham badha deta hai

maa ki to ahmiyat jaanta hi nahin
apni baaton se usko rula deta hai

ye pareshaaniyon ka jo toofan sa hai
jeene ki har tamannaa baha deta hai

aadmi ki tarah aadmi to nahin
jo hazaaron gharo ko jala deta hai

baap ke kandon ka bojh kya jaane woh
paison ko shauq mein jo uda deta hai

कौन है जो मिरा ग़म बढ़ा देता है
माज़ी के दर से मुझ को सदा देता है

हौसला ज़िंदा है तो मैं भी ज़िंदा हूँ
हादसा वरना सब कुछ मिटा देता है

जैसे ही पीता हूँ मैं ख़ुशी थोड़ी सी
मेरा इक दोस्त दूरी बढ़ा देता है

नींद में ख़्वाब भी अजनबी की तरह
बस चला जाता है ग़म बढ़ा देता है

माँ की तो अहमियत जानता ही नहीं
अपनी बातों से उसको रुला देता है

ये परेशानियों का जो तूफ़ाँ सा है
जीने की हर तमन्ना बहा देता है

आदमी की तरह आदमी तो नहीं
जो हज़ारों घरों को जला देता है

बाप के कंधों का बोझ क्या जाने वह
पैसों को शौक़ में जो उड़ा देता है

  - Meem Alif Shaz

Father Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Meem Alif Shaz

As you were reading Shayari by Meem Alif Shaz

Similar Writers

our suggestion based on Meem Alif Shaz

Similar Moods

As you were reading Father Shayari Shayari