kabhi khud ko bhi to badalna zaroori
kabhi dhoop mein bhi nikalna zaroori
zara dekh lo kaun hai jo bura hai
kabhi us bure se bhi milna zaroori
hawa jab bhi tujh ko sataaye kahi bhi
kabhi us ko khud hi masalna zaroori
sitaaron ki manzil alag hai pata hai
kabhi un ke bhi saath chalna zaroori
zamaana bahut tez hai yah zamaana
kabhi us ka bhi khoob jalna zaroori
कभी ख़ुद को भी तो बदलना ज़रूरी
कभी धूप में भी निकलना ज़रूरी
ज़रा देख लो कौन है जो बुरा है
कभी उस बुरे से भी मिलना ज़रूरी
हवा जब भी तुझ को सताए कहीं भी
कभी उस को ख़ुद ही मसलना ज़रूरी
सितारों की मंज़िल अलग है, पता है
कभी उन के भी साथ चलना ज़रूरी
ज़माना बहुत तेज़ है यह ज़माना
कभी उस का भी ख़ूब जलना ज़रूरी
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Meem Alif Shaz
our suggestion based on Meem Alif Shaz
As you were reading Hawa Shayari Shayari