mujhe tum bhi mohabbat se bulao to
ana ka yah jo patthar hai hatao to
tumhaari ahliyaa main bhi ho sakti hoon
mera dil tum nazaakat se churaao to
sitaaron ki tarah jab jagmagana hai
charaagon ki tarah khud ko jalao to
zamaana poochta hai jhooth waalon ko
zamaane ko zara sach bhi sikhaao to
hamesha khoob khaate ho akela hi
gareebon ko bhi kuchh dil se khilao to
khabar jo bhi chapegi jhooth hi hogi
haqeeqat ke liye khud ko chalaao to
andhera bhi hamesha haar jaayega
kabhi dil ka diya tum bhi jalao to
मुझे तुम भी मोहब्बत से बुलाओ तो
अना का यह जो पत्थर है हटाओ तो
तुम्हारी अहलिया मैं भी हो सकती हूँ
मिरा दिल तुम नज़ाकत से चुराओ तो
सितारों की तरह जब जगमगाना है
चराग़ों की तरह ख़ुद को जलाओ तो
ज़माना पूछता है झूठ वालों को
ज़माने को ज़रा सच भी सिखाओ तो
हमेशा ख़ूब खाते हो अकेले ही
ग़रीबों को भी कुछ दिल से खिलाओ तो
ख़बर जो भी छपेगी झूठ ही होगी
हक़ीक़त के लिए ख़ुद को चलाओ तो
अँधेरा भी हमेशा हार जाएगा
कभी दिल का दिया तुम भी जलाओ तो
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Meem Alif Shaz
our suggestion based on Meem Alif Shaz
As you were reading Alone Shayari Shayari