sadme se baahir nahin aaye abhi tak | सदमे से बाहिर नहीं आए अभी तक - Meem Alif Shaz

sadme se baahir nahin aaye abhi tak
zindagi ham jee nahin paaye abhi tak

tum asar dekho buzurgo ki dua ka
khatm hote hi nahin saaye abhi tak

dushmanon ko ek hi sadma hai ham kyun
jaal mein unke nahin aaye abhi tak

the bahut maghroor jo apni khushi pe
yun gire hain uth nahin paaye abhi tak

jannati hone ka daava kar rahe hain
bandagi jo kar nahin paaye abhi tak

maut ki aahat sunaai di hai ham ko
aur tauba kar nahin paaye abhi tak

सदमे से बाहिर नहीं आए अभी तक
ज़िन्दगी हम जी नहीं पाए अभी तक

तुम असर देखो बुज़ुर्गो की दुआ का
ख़त्म होते ही नहीं साए अभी तक

दुश्मनों को एक ही सदमा है हम क्यों
जाल में उनके नहीं आए अभी तक

थे बहुत मग़रूर जो अपनी ख़ुशी पे
यूँ गिरे हैं उठ नहीं पाए अभी तक

जन्नती होने का दावा कर रहे हैं
बन्दगी जो कर नहीं पाए अभी तक

मौत की आहट सुनाई दी है हम को
और तौबा कर नहीं पाए अभी तक

- Meem Alif Shaz
0 Likes

Ibaadat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Meem Alif Shaz

As you were reading Shayari by Meem Alif Shaz

Similar Writers

our suggestion based on Meem Alif Shaz

Similar Moods

As you were reading Ibaadat Shayari Shayari