safeene ko kinaare pe lagana hai | सफ़ीने को किनारे पे लगाना है

  - Meem Alif Shaz

safeene ko kinaare pe lagana hai
magar toofaan bhi to phir se aana hai

bahut baarish hai sadkon pe bhi paani hai
use aana nahin yah to bahaana hai

abhi roko na mujh ko khoob chalne se
abhi to mujh ko kaafi door jaana hai

imarat sheeshe ki ho ya ho mitti ki
bashar ko to sabhi kuchh chhod jaana hai

ameeri se nahin milti kabhi izzat
faqat akhlaaq hi sab ka khazana hai

mujhe maaloom hai us ko nahin aana
meri khilwat ko ab maatam manana hai

lagaate kyun ho tum bhi pedon mein yah aag
parindo ko bhi apna ghar basaana hai

tumhaara rasshaa chahe lohe ka hi ho
ise bhi ek din phir toot jaana hai

सफ़ीने को किनारे पे लगाना है
मगर तूफ़ान भी तो फिर से आना है

बहुत बारिश है, सड़कों पे भी पानी है
उसे आना नहीं यह तो बहाना है

अभी रोको न मुझ को ख़ूब चलने से
अभी तो मुझ को काफ़ी दूर जाना है

इमारत शीशे की हो या हो मिट्टी की
बशर को तो सभी कुछ छोड़ जाना है

अमीरी से नहीं मिलती कभी इज़्ज़त
फ़क़त अख़लाक़ ही सब का ख़ज़ाना है

मुझे मालूम है उस को नहीं आना
मेरी ख़लवत को अब मातम मनाना है

लगाते क्यों हो तुम भी पेड़ों में यह आग
परिंदो को भी अपना घर बसाना है

तुम्हारा रश्शा चाहे लोहे का ही हो
इसे भी एक दिन फिर टूट जाना है

  - Meem Alif Shaz

Gham Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Meem Alif Shaz

As you were reading Shayari by Meem Alif Shaz

Similar Writers

our suggestion based on Meem Alif Shaz

Similar Moods

As you were reading Gham Shayari Shayari