shehar mein gaav ki hawa hi nahin
ishq saccha yahan raha hi nahin
saansen to us ki chal rahi thi magar
aadmi koi bhi ruka hi nahin
aadmi pe bharosa kaise karoon
dhoka dene ki intiha hi nahin
dushmanon ne dua to ki thi magar
zakhm mera haraa hua hi nahin
faida kya namaaz chhodne ka
maut ke baad to qaza hi nahin
शहर में गाँव की हवा ही नहीं
इश्क़ सच्चा यहाँ रहा ही नहीं
साँसें तो उस की चल रही थी मगर
आदमी कोई भी रुका ही नहीं
आदमी पे भरोसा कैसे करूँ
धोका देने की इंतिहा ही नहीं
दुश्मनों ने दुआ तो की थी मगर
ज़ख़्म मेरा हरा हुआ ही नहीं
फ़ाइदा क्या नमाज़ छोड़ने का
मौत के बाद तो क़ज़ा ही नहीं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Meem Alif Shaz
our suggestion based on Meem Alif Shaz
As you were reading Gham Shayari Shayari