khulta nahin hai rasta mera
kaise hoga guzaara mera
apne dar se na lautaa mujh ko
tu hai to hai sahaara mera
us ke khat ko jalaaun kaise
us mein dil to jalega mera
mere mukhalif kya kar lenge
boodha nahin hai jazba mera
ghar ke andar gurbat dekho
chadar ka hai saaya mera
meri faqeeri pe hansna mat
sone ka hai kaansa mera
खुलता नहीं है रस्ता मेरा
कैसे होगा गुज़ारा मेरा
अपने दर से न लौटा मुझ को
तू है तो है सहारा मेरा
उस क़े ख़त को जलाऊँ कैसे
उस में दिल तो जलेगा मेरा
मेरे मुख़ालिफ़ क्या कर लेंगे
बूढ़ा नहीं है जज़्बा मेरा
घर के अंदर ग़ुर्बत देखो
चादर का है साया मेरा
मेरी फ़कीरी पे हँसना मत
सोने का है काँसा मेरा
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Meem Alif Shaz
our suggestion based on Meem Alif Shaz
As you were reading Raasta Shayari Shayari