umr bhar khwaab main bhi sajaata raha
khwaab mein apne ghar ko banata raha
gham se aawaaz mein chaale bhi ho gaye
dil magar nagme hi gungunata raha
dushmanon ne bahut teer daage magar
doston ki tarah muskurata raha
zindagi se gila koi karna nahin
qeemti lamhe main bhi ganwaata raha
tere jaane se yah haal mera hua
ret par chehra tera banata raha
jee lagega nahin qabr mein soch kar
surkh aankhon se aansu girata raha
jis jagah bhi mila koi pyaasa shajar
dono haathon se paani pilaata raha
उम्र भर ख़्वाब मैं भी सजाता रहा
ख़्वाब में अपने घर को बनाता रहा
ग़म से आवाज़ में छाले भी हो गए
दिल मगर नग़्में ही गुनगुनाता रहा
दुश्मनों ने बहुत तीर दागे मगर
दोस्तों की तरह मुस्कुराता रहा
ज़िन्दगी से गिला कोई करना नहीं
क़ीमती लम्हें मैं भी गँवाता रहा
तेरे जाने से यह हाल मेरा हुआ
रेत पर चेहरा तेरा बनाता रहा
जी लगेगा नहीं क़ब्र में सोच कर
सुर्ख़ आँखों से आँसू गिराता रहा
जिस जगह भी मिला कोई प्यासा शजर
दोनों हाथों से पानी पिलाता रहा
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Meem Alif Shaz
our suggestion based on Meem Alif Shaz
As you were reading Manzil Shayari Shayari