meri zaroorat tha magar jaane diya | मेरी ज़रूरत था मगर जाने दिया

  - Meem Alif Shaz

meri zaroorat tha magar jaane diya
har khwaab ko dil mein hi mar jaane diya

pehle gharo mein ek ghar bhi hota tha
us ko zabaan se par bikhar jaane diya

ik doosre mehboob ko dhoondhaa magar
ham ne use dil mein thehar jaane diya

vo kya ghazab ke log the jin logon ne
sach ke liye khud ko bikhar jaane diya

मेरी ज़रूरत था मगर जाने दिया
हर ख़्वाब को दिल में ही मर जाने दिया

पहले घरों में एक घर भी होता था
उस को ज़बाँ से पर बिखर जाने दिया

इक दूसरे महबूब को ढूँढा मगर
हम ने उसे दिल में ठहर जाने दिया

वो क्या ग़ज़ब के लोग थे जिन लोगों ने
सच के लिए ख़ुद को बिखर जाने दिया

  - Meem Alif Shaz

Charagh Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Meem Alif Shaz

As you were reading Shayari by Meem Alif Shaz

Similar Writers

our suggestion based on Meem Alif Shaz

Similar Moods

As you were reading Charagh Shayari Shayari