meri ulfat zar-e-qeemat nahin hone waali | मेरी उलफ़त ज़र-ए-क़ीमत नहीं होने वाली

  - Kaif Uddin Khan

meri ulfat zar-e-qeemat nahin hone waali
ishq mein koi tijaarat nahin hone waali

mere hisse mein faqat ek dil-e-khaana-kharaab
us pe bhi mujhse hukoomat nahin hone waali

maine rakha hai use baam-e-falak zer-e-zameen
aur amaanat mein khayaanat nahin hone waali

log ehsaan uthaate hain muhabbat mein magar
kuchh bhi hamse teri khidmat nahin hone waali

ek gul saara chaman to nahin mahka saka
ek vo sabki suhoolat nahin hone waali

rakhne ko rakh to diya hai use but-khaane mein
par yahan uski ibadat nahin hone waali

mujh pe utara hai sahifa jo teri ulfat ka
uski bhi mujhse tilaavat nahin hone waali

मेरी उलफ़त ज़र-ए-क़ीमत नहीं होने वाली
इश्क़ में कोई तिजारत नहीं होने वाली

मेरे हिस्से में फ़क़त एक दिल-ए-ख़ाना-ख़राब
उस पे भी मुझसे हुकूमत नहीं होने वाली

मैंने रक्खा है उसे बाम-ए-फ़लक ज़ेर-ए-ज़मीं
और अमानत में ख़यानत नहीं होने वाली

लोग एहसान उठाते हैं मुहब्बत में मगर
कुछ भी हमसे तेरी ख़िदमत नहीं होने वाली

एक गुल सारा चमन तो नहीं महका सकता
एक वो सबकी सुहूलत नहीं होने वाली

रखने को रख तो दिया है उसे बुत-ख़ाने में
पर यहाँ उसकी इबादत नहीं होने वाली

मुझ पे उतरा है सहीफ़ा जो तेरी उलफ़त का
उसकी भी मुझसे तिलावत नहीं होने वाली

  - Kaif Uddin Khan

Gulshan Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Kaif Uddin Khan

As you were reading Shayari by Kaif Uddin Khan

Similar Writers

our suggestion based on Kaif Uddin Khan

Similar Moods

As you were reading Gulshan Shayari Shayari