zehan se mushkil se baahar kheecha hai | ज़ेहन से मुश्किल से बाहर खींचा है - Kaif Uddin Khan

zehan se mushkil se baahar kheecha hai
ham ne is kuwwat se manzar kheecha hai

teergi bhi aur phir tanhaai bhi
hamne kya kya apne andar kheecha hai

thi talab taabeer ki so is liye
khwaab ko aankhon se baahar kheecha hai

khinchana tha kab hame phir bhi magar
zaat se hasti ko akshar kheecha hai

marna tay hai mera ab is ghaav se
us ne jis taqat se nashtar kheecha hai

hamse kab mismar rishta khichana tha
phir bhi ham dono ne milkar kheecha hai

khwaab aane ki garz se be-tarah
neend ne yak-dam hi bistar kheecha hai

gum the apni bhulaaoon mein kaif tum
khud hi tumne khud ko baahar kheecha hai

ज़ेहन से मुश्किल से बाहर खींचा है
हम ने इस कुव्वत से मंज़र खींचा है

तीरगी भी और फिर तन्हाई भी
हमने क्या क्या अपने अंदर खींचा है

थी तलब ताबीर की सो इस लिये
ख़्वाब को आँखों से बाहर खींचा है

खिंचना था कब हमे फिर भी मगर
ज़ात से हस्ती को अक्सर खींचा है

मरना तय है मेरा अब इस घाव से
उस ने जिस ताक़त से नश्तर खींचा है

हमसे कब मिस्मार रिश्ता खिचना था
फिर भी हम दोनों ने मिलकर खींचा है

ख़्वाब आने की ग़रज़ से बे-तरह
नींद ने यक-दम ही बिस्तर खींचा है

गुम थे अपनी बेखु़दी में कैफ़ तुम
ख़ुद ही तुमने ख़ुद को बाहर खींचा है

- Kaif Uddin Khan
3 Likes

Andhera Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Kaif Uddin Khan

As you were reading Shayari by Kaif Uddin Khan

Similar Writers

our suggestion based on Kaif Uddin Khan

Similar Moods

As you were reading Andhera Shayari Shayari