jahaalaton ka vo maatam manaa ke laut gaye
zaheen log the chehra chhupa ke laut gaye
na raas aayi unhen raunakein zamaane ki
chiraag-e-dehr vo saare bujha ke laut gaye
ajeeb kism ke taajir the vo mere bhaai
bika na kuchh to dukanein badha ke laut gaye
siyasato ka ye dhanda kamaal hai saahib
tarah tarah ke bharose dila ke laut gaye
raqabaton ke ye kaise usool the vo bhi
jo bujh sake na to hamko jala ke laut gaye
na sirfira koi paoge aap ham jaisa
faraazo-rutba-o-shohrat luta ke laut gaye
karn ye baat to sach hai ki tu deewaana hai
magar vo log jo daaman bacha ke laut gaye
जहालतों का वो मातम मना के लौट गए
ज़हीन लोग थे चेहरा छुपा के लौट गए
न रास आई उन्हें रौनकें ज़माने की
चिराग़े-दहर वो सारे बुझा के लौट गए
अजीब किस्म के ताजिर थे वो मेरे भाई
बिका न कुछ तो दुकानें बढ़ा के लौट गए
सियासतों का ये धंधा कमाल है साहिब
तरह तरह के भरोसे दिला के लौट गए
रक़ाबतों के ये कैसे उसूल थे वो भी
जो बुझ सके न तो हमको जला के लौट गए
न सिरफ़िरा कोई पाओगे आप हम जैसा
फ़राज़ो-रुतबा-ओ-शोहरत लुटा के लौट गए
करन ये बात तो सच है कि तू दीवाना है
मगर वो लोग जो दामन बचा के लौट गए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by KARAN
our suggestion based on KARAN
As you were reading Aaina Shayari Shayari