apne dil ka ijaara main kaise karoon | अपने दिल का इजारा मैं कैसे करूँ

  - Khalid Azad

apne dil ka ijaara main kaise karoon
uski baate gawara main kaise karoon

saare vaade wafa sab hi mere liye
itna saare ka saara main kaise karoon

tere dil mein hai dekha kisi aur ko
aise ghar mein guzaara main kaise karoon

saari mehfil ki nazre hain meri taraf
teri jaanib ishaara main kaise karoon

baad milne ke tumse museebat ye hain
titliyon se kinaara main kaise karoon

jo muqaddar mein aaye hain jugnoo mere
sochta hoon sitaara main kaise karoon

अपने दिल का इजारा मैं कैसे करूँ
उसकी बाते गवारा मैं कैसे करूँ

सारे वादे वफ़ा सब ही मिरे लिए
इतना सारे का सारा मैं कैसे करूँ

तेरे दिल में है देखा किसी और को
ऐसे घर में गुज़ारा मैं कैसे करूँ

सारी महफ़िल की नज़रे हैं मेरी तरफ़
तेरी जानिब इशारा मैं कैसे करूँ

बाद मिलने के तुमसे मुसीबत ये हैं
तितलियों से किनारा मैं कैसे करूँ

जो मुकद्दर में आए हैं जुगनू मेरे
सोचता हूँ सितारा मैं कैसे करूँ

  - Khalid Azad

Kismat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Khalid Azad

As you were reading Shayari by Khalid Azad

Similar Writers

our suggestion based on Khalid Azad

Similar Moods

As you were reading Kismat Shayari Shayari