charaago ke safar ko ab mujhe aasaan karna hai
hawa ke zor ko har haal mein halkaan karna hai
uthe jab ek chingaari to phir sho'la bataata hai
kahi pe phir kisi ghar ko use veeraan karna hai
bulandi par pahunchna ho to jhuk kar chalna padta hai
isee khaatir ana ko ab mujhe qurbaan karna hai
jawaani tum pe laane mein budhaapa mujhpe aaya hai
mere bacchon yahaan pe ab tumhein ehsaan karna hai
hai jisse darte rahte sab laga kar ab gale usko
mujhe phir zindagi ko ek din hairaan karna hai
tumhaara hijr kaatun ya qadam aage badha loon main
karoon jo faisla lekin isee dauraan karna hai
abhi to she’r thode hain teri jholi mein ai khaalid
magar ik din ise bhi meer ka deewaan karna hai
चराग़ो के सफ़र को अब मुझे आसान करना है
हवा के ज़ोर को हर हाल में हलकान करना है
उठे जब एक चिंगारी तो फिर शो’ला बताता है
कहीं पे फिर किसी घर को उसे वीरान करना है
बुलंदी पर पहुंचना हो, तो झुक कर चलना पड़ता है
इसी ख़ातिर अना को अब मुझे क़ुर्बान करना है
जवानी तुम पे लाने में बुढ़ापा मुझपे आया है
मेरे बच्चों यहां पे अब तुम्हें एहसान करना है
है जिससे डरते रहते सब लगा कर अब गले उसको
मुझे फिर ज़िंदगी को एक दिन हैरान करना है
तुम्हारा हिज्र काटूं या क़दम आगे बढ़ा लूं मैं
करूं जो फैसला लेकिन इसी दौरान करना है
अभी तो शे’र थोड़े हैं तेरी झोली में ऐ ख़ालिद
मगर इक दिन इसे भी मीर का दीवान करना है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Khalid Azad
our suggestion based on Khalid Azad
As you were reading Hawa Shayari Shayari