insaan se qayaamat ke din sawaal hoga
apne kiye pe sabko dukh aur malaal hoga
usne kaha-suni mein pakda mera girebaan
main samjha tha ki mera vo ham-khayaal hoga
daave se kehta hoon main ye baat aap sabse
koii nahin hai jis pe us sa jamaal hoga
baatein raqeebon kii hain ab aapki zabaan par
rishta nibhaana beshak ab to muhaal hoga
vo shakhs mar chuka hai kab ka magar abhi to
kuchh roz uski daulat par bhi bawaal hoga
इंसान से क़यामत के दिन सवाल होगा
अपने किए पे सबको दुख और मलाल होगा
उसने कहा-सुनी में पकड़ा मेरा गिरेबाँ
मैं समझा था कि मेरा वो हम-ख़याल होगा
दावे से कहता हूँ मैं ये बात आप सबसे
कोई नहीं है जिस पे उस सा जमाल होगा
बातें रक़ीबों की हैं अब आपकी ज़बाँ पर
रिश्ता निभाना बेशक अब तो मुहाल होगा
वो शख़्स मर चुका है कब का मगर अभी तो
कुछ रोज़ उसकी दौलत पर भी बवाल होगा
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Rohan Hamirpuriya
our suggestion based on Rohan Hamirpuriya
As you were reading Sad Shayari Shayari