log jo taiyaar the bas noch khaane ke liye
mar gaya hoon to tule hain sab jagaane ke liye
kat gaya phir bhi nibhaai hai mohabbat ped ne
thi chitaa par sirf lakdi saath jaane ke liye
ho gaya koi amar bas jism apna saunp kar
hain khadeen laashein sabhi mitti jalane ke liye
der se vo khwaab mein aaya tha milne ke liye
main bhi deri kar gaya palkein uthaane ke liye
jeete-ji poocha nahin maa baap ko khaana kabhi
kar rahe hain shraaddh ab unko khilaane ke liye
maar kar tum doosron ka haq utha laaye agar
nark bhi phir kam padega chatpataane ke liye
लोग जो तैयार थे बस नोच खाने के लिए
मर गया हूँ तो तुले हैं सब जगाने के लिए
कट गया फिर भी निभाई है मोहब्बत पेड़ ने
थी चिता पर सिर्फ़ लकड़ी साथ जाने के लिए
हो गया कोई अमर बस जिस्म अपना सौंप कर
हैं खड़ीं लाशें सभी मिट्टी जलाने के लिए
देर से वो ख़्वाब में आया था मिलने के लिए
मैं भी देरी कर गया पलकें उठाने के लिए
जीते-जी पूछा नहीं माँ बाप को खाना कभी
कर रहे हैं श्राद्ध अब उनको खिलाने के लिए
मार कर तुम दूसरों का हक़ उठा लाए अगर
नर्क भी फिर कम पड़ेगा छटपटाने के लिए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Divya 'Kumar Sahab'
our suggestion based on Divya 'Kumar Sahab'
As you were reading Child labour Shayari Shayari