ailaan ye hua hai abhi hukmraan se | ऐलान ये हुआ है अभी हुक्मरान से

  - Kumar Aryan

ailaan ye hua hai abhi hukmraan se
bologe gar khilaaf to jaaoge jaan se

jiski zabaan pe mujhe behad yaqeen tha
aakhir mukar gaya wahi apni zabaan se

usko to apni jaan kii parwaah hi nahin
matlab nahin hai jisko bhi duniya jahaan se

jisko ke rokne ke liye aaye ho yahan
vo teer to nikal gaya meri kamaan se

achha nahin hai itna takabbur bhi mere yaar
paala nahin pada hai sahi naujawaan se

socha tha saath dega mera manzilon talak
aakhir ke vo bhi so gaya thak kar thakaan se

jo dekhta hai door se muflis kii be-ghari
vo bhi nikala jaayega apne makaan se

qaaim nahin hai khud hi nizaam-e-jahaan yun
koii chala raha hai ise aasmaan se

amrit ya zehar loge batao kumar tum
sab log dono lete hain meri dukaan se

ऐलान ये हुआ है अभी हुक्मरान से
बोलोगे गर ख़िलाफ़ तो जाओगे जान से

जिसकी ज़बान पे मुझे बेहद यक़ीन था
आख़िर मुकर गया वही अपनी ज़बान से

उसको तो अपनी जान की परवाह ही नहीं
मतलब नहीं है जिसको भी दुनिया जहान से

जिसको के रोकने के लिए आए हो यहाँ
वो तीर तो निकल गया मेरी कमान से

अच्छा नहीं है इतना तकब्बुर भी मेरे यार
पाला नहीं पड़ा है सही नौजवान से

सोचा था साथ देगा मेरा मंज़िलों तलक
आख़िर के वो भी सो गया थक कर थकान से

जो देखता है दूर से मुफ़लिस की बे-घरी
वो भी निकाला जाएगा अपने मकान से

क़ाइम नहीं है ख़ुद ही नज़ाम-ए-जहान यूँ
कोई चला रहा है इसे आसमान से

अमृत या ज़हर लोगे बताओ 'कुमार' तुम
सब लोग दोनों लेते हैं मेरी दुकान से

  - Kumar Aryan

More by Kumar Aryan

As you were reading Shayari by Kumar Aryan

Similar Writers

our suggestion based on Kumar Aryan

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari