khwaab aankhon mein jagaata hai chala jaata hai
jo bhi aata hai rulaata hai chala jaata hai
dil mein nafrat ka liye rehta hai ambaar magar
geet vo prem ka gaata hai chala jaata hai
ik kabootar jo meri chhat pe abhi aaya hai
yaad uski vo dilaata hai chala jaata hai
raat karvat bhi badalta hoon to dar jaata hoon
vo mere khwaab mein aata hai chala jaata hai
gahe gahe to nazar aata hai mere dar par
dard dil ka vo badhaata hai chala jaata hai
neend usne to udaai hai meri aankhon se
chain dil ka bhi churaata hai chala jaata hai
ab meri khair nazar aati nahin hai mujhko
aag mein gham kii jalata hai chala jaata hai
ख़्वाब आँखों में जगाता है चला जाता है
जो भी आता है रुलाता है चला जाता है
दिल में नफ़रत का लिए रहता है अंबार मगर
गीत वो प्रेम का गाता है चला जाता है
इक कबूतर जो मेरी छत पे अभी आया है
याद उसकी वो दिलाता है चला जाता है
रात करवट भी बदलता हूँ तो डर जाता हूँ
वो मेरे ख़्वाब में आता है चला जाता है
गाहे गाहे तो नज़र आता है मेरे दर पर
दर्द दिल का वो बढ़ाता है चला जाता है
नींद उसने तो उड़ाई है मेरी आँखों से
चैन दिल का भी चुराता है चला जाता है
अब मेरी ख़ैर नज़र आती नहीं है मुझको
आग में ग़म की जलाता है चला जाता है
As you were reading Shayari by Kumar Aryan
our suggestion based on Kumar Aryan
As you were reading undefined Shayari