waqt zaaya koii bhi bekar karta hai nahin | वक़्त ज़ाया कोई भी बेकार करता है नहीं - ''Kumar Aryan''

waqt zaaya koii bhi bekar karta hai nahin
besabab koii kisi se pyaar karta hai nahin

kaam jaane kab kisi se yaar pad jaaye tumhein
hamsari naadaan kii hushyaar karta hai nahin

peeth peechhe gaaliyaan de yaar lekin saamne
dushmani kii baat to gaddaar karta hai nahin

jisse zaahir ho haqeeqat aaj ke maahol kii
kaam aisa ab koii akhbaar karta hai nahin

khud bike hain log aakar roz is bazaar mein
bechne ka kaam to bazaar karta hai nahin

tumne aakhir kis tarah se ghair ko dil de diya
dost koii peeth par to vaar karta hai nahin

ye saleeke se dilon ko jodta aaya yahan
dil shikasta to kabhi fankaar karta hai nahin

kaun sii aisi khata mujhse hui hai doston
kyun bharosa mujhpe mera yaar karta hai nahin

वक़्त ज़ाया कोई भी बेकार करता है नहीं
बेसबब कोई किसी से प्यार करता है नहीं

काम जाने कब किसी से यार पड़ जाए तुम्हें
हमसरी नादान की हुश्यार करता है नहीं

पीठ पीछे गालियाँ दे यार लेकिन सामने
दुश्मनी की बात तो ग़द्दार करता है नहीं

जिससे ज़ाहिर हो हक़ीक़त आज के माहौल की
काम ऐसा अब कोई अख़बार करता है नहीं

ख़ुद बिके हैं लोग आकर रोज़ इस बाज़ार में
बेचने का काम तो बाज़ार करता है नहीं

तुमने आख़िर किस तरह से ग़ैर को दिल दे दिया
दोस्त कोई पीठ पर तो वार करता है नहीं

ये सलीक़े से दिलों को जोड़ता आया यहाँ
दिल शिकस्ता तो कभी फ़नकार करता है नहीं

कौन सी ऐसी ख़ता मुझसे हुई है दोस्तों
क्यों भरोसा मुझपे मेरा यार करता है नहीं

- ''Kumar Aryan''
0 Likes

Waqt Shayari

Our suggestion based on your choice

More by ''Kumar Aryan''

As you were reading Shayari by ''Kumar Aryan''

Similar Writers

our suggestion based on ''Kumar Aryan''

Similar Moods

As you were reading Waqt Shayari Shayari