yun maut ko gale se lagaane chala tha main | यूँ मौत को गले से लगाने चला था मैं

  - Kumar Aryan

yun maut ko gale se lagaane chala tha main
ik bewafa ko phir se manaane chala tha main

insaaf ke saroon ko uthaane chala tha main
haq uska usko yaar dilaane chala tha main

raahon pe chalte-chalte hue kaise gir gaya
sote hue ko aaj jagaane chala tha main

duniya ko khud hi dushman-e-jaan yaar kar liya
haq ka sawaal jab bhi uthaane chala tha main

maaloom tha ki saanp meri aasteen mein hai
deewaangi mein doodh pilaane chala tha main

taabeer jiski koii nahin hai jahaan mein
aankhon ko aise khwaab dikhaane chala tha main

gurbat kii meri shehar mein charche hue bahut
bhookhe ko yaar bhoj karaane chala tha main

ik sang-dil se dil ko thi ulfat kii aarzoo
paani mein jaise aag lagaane chala tha main

aakhir main kaise hosh mein rehta khuda qasam
suraj se jab ke aankh milaane chala tha main

यूँ मौत को गले से लगाने चला था मैं
इक बेवफ़ा को फिर से मनाने चला था मैं

इंसाफ़ के सरों को उठाने चला था मैं
हक़ उसका उसको यार दिलाने चला था मैं

राहों पे चलते-चलते हुए कैसे गिर गया
सोते हुए को आज जगाने चला था मैं

दुनिया को ख़ुद ही दुश्मन-ए-जाँ यार कर लिया
हक़ का सवाल जब भी उठाने चला था मैं

मालूम था कि साँप मेरी आस्तीं में है
दीवानगी में दूध पिलाने चला था मैं

ताबीर जिसकी कोई नहीं है जहान में
आँखों को ऐसे ख़्वाब दिखाने चला था मैं

ग़ुर्बत की मेरी शहर में चर्चे हुए बहुत
भूखे को यार भोज कराने चला था मैं

इक संग-दिल से दिल को थी उल्फ़त की आरज़ू
पानी में जैसे आग लगाने चला था मैं

आख़िर मैं कैसे होश में रहता ख़ुदा क़सम
सूरज से जब के आँख मिलाने चला था मैं

  - Kumar Aryan

More by Kumar Aryan

As you were reading Shayari by Kumar Aryan

Similar Writers

our suggestion based on Kumar Aryan

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari